BABOSA CHALISA
Please click here to listen the Babosa Chalisa
Babosa taran taaran hain, Bhaktoon ke bhagwan. Chaalisa nit uth padhoon, Karne nij kalyaan. Poojniya Shree Babosa ka, Mantrakshar hai naam. Unke paavan naam se, Falte waanchit kaam.
JAI SHREE BABOSA.
Jai jai Babosa upkaari, Bhaktoon ke hain paalanhaari. Babosa Prabhuvar Parameshwar, Babosa Devon ke Dev. Babosa purushotam eeshwar, Babosa kuldeep jineshwar. Janm sthaan hai Churu nagri, Maa Chagni ke nandan pyaare. Maagh Shukla ki Panchami aayi, Janme Shri Babosa gyani. Bhadrav Shukla ki Panchami aayi, Swarg padhare Babosa gyani. Mingsar Shukla ki Panchami aayi, Hanumat roop viraaje gyani. Bhav-bhav bhanjak paap nikandan, Sankatap vinashak chandan. Bhakt lagaaye dhyaan jaha par, Pahunche Babosa aap waha par. Akshar Atul shakti ke swaami, Ghat-ghat ke ho antaryaami. Babosa ke hum anuyayi, Darshan do Babosa sukhdaayi. Bhakt Jano ke bhagya sanware, Kothari kuldeep kehlaye. Bhav-bhav ki sab peed mitate, Gyaan-bhakti ke deep jalate. Jaap tumhara bhoot bhagata, Upar ki sab chaav mitata. Amrit Vaani ka paan karaya, Laakho jan ko tript banaya. Dev vaani ka shankh bajaya, Janm-janm ka rog mitaya. Churu mein sab rang lagaya, Bhakton ka uddhar karaya. Mangalkaari jaap Tumhara, Bhakton ko mil jaye kinara. PaavAn darshan Dev tumhara, Manju ka hai bhagya sahara. Bajrangi ka laal kehlaye, Hai yeh sach-much saccha panna. Naam Tumhara Shubh-Phal data, Bhoot-pret bhay door bhagata. Antaryaami Shiv-path gaami, Chaar tirth ke sacche Swami. Balaji ke ho avtari, Bhaktoon ke ho sankat haari. Swarglok mein bigul bajaya, Bhaktoon ko darshan dikhlaya. Sudha tulya hai Teri vaani, Sun harshit hote nar-naari. Teri karuna yadi ho jaaye, Andha dekhe goonga gaaye. Bin paani ke naav chalaye, Aandhi mein jyot jalaye. Hum sab hain Teri phoolvari, Tu hai is bagiya ka maali. Teri mahima sabse nyaari, Tu hai prabhu baal brahamachari. Tujh ko har pal yaad kare jo, Uska palan-haar bane Tu. Jo Teri jay-kaar lagaye, Uska beda paar lagaye. Bhakton ko ek dor mein laaye, Prem-bhaav ka shrot bahaye. Shree Balaji ka roop kahaye, Bajrangi ke mann ko bhaaye. Babosa aap ho ghat-ghat gyata, Bhakton ke ho bhagya-vidhaata. In Charno mein mann ram jaaye, Yamraaj phir nikat na aaye. Babosa roon roon bas jaaye, Unke paap pralay ho jaaye. Chaalisa yeh bhagya vidhaata, Jan-jan ko hai yeh sukhdata. Leela ki aswari karata, Bhaktoon ke dukh pal mein harta. Taanti Shubh hai, Jal hai Paavan, Aur Bhabhooti hai kasht nivaran. Jeevan-dhan banta sanskaari, Sthir-mann paath karo nar-naari.
JAI HO - MAA CHAGNI LAAL KI.
JAI HO - SHREE BABOSA MAHARAJ KI.
JAI HO - SHREE DUKH NIKANDAN KI.
JAI HO - SHREE BALAJI MAHARAJ KI.
JAI HO - SHREE MATA RAANI MAA KI.
No comments:
Post a Comment