Sunday, April 16, 2017

Aaj Ki Ardas- Manju Baisa


Manav Ka Saccha Dharm Kya Hai 

Manav (Mankind) ke Sacche Dharm Ke Liye Sab hi Soch Jyadatar Ek Jasi Hoti hai ki Manav ka saccha Dharam Manavata hai, Bado Ka Samman hai ,Bhuke Manav Ko Khana Khilana hai , Pyase ho Pani Pilana hai , Katinai (Difficulty) main fase Manav ko Rah Dikhana hai, Or Bhi Bahoot se Esse hi Khyal (Thoughts ) hai Humari.

Par Kya En Sabhi bato ka  hum palan karte hai , Kya kisi 4 din ke bhuke manav ko hum aadhe din bhuka rah kar khana kila sakte hai, Kya hum apni beti ya bahan ki shadi main thoda sa kam paisa laga kar , Kisi Garib or jarrorat mand  ki bahan or beti ki shadi kara sakthe .  

Hum Sab acchai or burai ko jante hai kya cheez acchi hai or kya buri bus koi pahal nahi ho pa rahi or bus ek hi baat humhare vicharo ko khokala kar jati hai  ki,  " Mare akele ke karne se kya hoga  ".

Par Sacch to yahi hai ki yadi essa ap karenge to aap Dusro ke liye Perna   banenge, or fir dusre bhi essa hi karenge . Essa karne se Jo Sukh ki prapti hogi who kahi nahi mil sakti.

Apne liye or Apne pariwar ke liye hum jite hai par saccha swarg yadi es dunia main dekhana hai to dusro ke liye jina hoga.

Hum Badleng to Humhara Pariwar Badlega ,

Humhare Pariwar se Humhari Humhari Colony , Humhara Gaev Badlega,

Or fir humhara sahar , Humhara Rajay or Desh Badlega,


"Sai Etna Digeye jame Kutumb Samaye ,
Main bhi Bukha na rahoo Sadhu bhi Bhuka na jaye "



THINGS TO DO EVERYDAY


Perform Everyday Pooja in early morning and at the time of sleep .

Sing Aarti with given audio aarti of Babosa.

Give thanks to Babosa and be dedicate to him

On Tuesday must have a Babosa fast


Chant 108 times "Om Namah Shree Babosa " 



 

No comments:

Post a Comment

Featured Post

बाबोसा भगवान व्रतोत्सव

                                                                                          जय श्री बाबोसा                                   ...